Tuesday, June 12, 2007

Ansoo


Ansoo yeh us ahsaas ka naam hai jo dil ki yaadon ko haqeeqat ka roop detey huey ankhoon sai bahar nikal aatey hai yeh un motiyoon ki manind hotey hai jin ki pakeezgi pai har koi rashk karta hai yeh kabhi khushi sai chalak jatey hai lakin main un ansoo ka zikar kar raha hoon jo kisi ki yaadon main chalak jaye jab kabhi kisi guzrey lamhey ka khayal aaye ankhain jhalak jaati hai jab kisi ki mohabbat ka ahsaas shidat sai aaney lagta hai yaaadein ansoo ban jati hai jab kisi ki narmi sey ki gai baatain yaad aati hai khoon main rawani barhnai lagti hai jab kabhi dharkanoo ki raftar brabt honey lagti hai ansoo ban jatey hai jab kabhi dil main dard sa honey lagta hai jab yaadein dum ghotney lagti hai jab har taraf habs sa honey lagta hai jab shidat e dard dil main hook c jaga deta hai ansoo ban jatey hai jab kisi ki mohabbat ka lams chehrey pai mahsoos hota hai jab kisi guzrey pal ki yaadein dasney lagti hai jab hatoo ki narmi yaad aati hai jab us ki zulfoo ka ghera tareek honey lagta hai jab suraj badloo main dhalney lagta hai jab raat khamoshi sai merey gird andhera phelaney lagti hai ansoo ban jatey hai jab shama -e-dil bujhney lagti hai jab ragoo sai bahta lahoo jamney lagta hai jab ankhoo ki doorey surkh honey lagti hai jab dua b asar honey lagti hai jab faryad ki gunj palat aati hai ansoo ban jatey hai jab kabhi wadoo ka tootna yaad aata hai jab kabhi barish ka mosaam kabhi jab kabhi woh jaroo ki sardi yaad aati hai jab us ki bahoo ka hisar yaad aata hai jab kabhi us ki ankhoo ki gahrai yaad aati hai jab is k hontoo ka lams bechain karta hai jab us ki sansoo ki hidat wajood ko pighlaney lagti hai jab 1 jaan 2 qalb ankhoo main utarta jata hai ansoo ban jatey hai jab khud pai ikhtiyar mitney lagta hai jab saath chalna yaad aata hai jab jawani raqs karti mahsoos hoti thi jab zindagi ko gna yaad aata hai ansoo ban jatey hai ayr meri mohabbat main nahi janta yeh ankhoo ki nami kab khatam hogi bass faqat yeh dua hai ab meri k terey ankhoo ki nami bhi ab meri ankhoo sai bahey meri hansii terey hontoo pai jhilmilaye aur terey ghum meri palkoon main tarey ban jaye

Ansoo!!

Friday, June 8, 2007

Gar Kia Hua!!!

Gar kia hua jo main terey ansoo na pooch sakoo haan main terey saath rolonga gar kia hua jo main terey saath qadam sai qadam na mila sakta main terey qadmoo pai jhuk longa,gar kia hua jo mein terey laboo pai muskurahat na la saka main apney laboo ki hansii terey naam kardonga,gar kia hua jo tu shama na ban paye main apni har sham bhanwrey ki manind teri mohabbat pai qurban kardonga,gar kia hua jo main terey gird andheroo ko na mita saka main teri mohabbat main shama ban k khud ko jalata rahonga,gar kia hua jo mein tujhe tham na sakaa haan main khud ko dunia k saamney jhuka k tujhe uper karjaonga,gar kia hua jo main tujhe paa na saka main teri mohabbat main khud ko fana kar jaonga,gar kia hua jo main tumjhe apni zindagi main la na sakaa main apni sansoo ki shidat aur khoon ki rawani main tujhe amar karjaonga Gar Kia Hua Shayar Yeh Gar Teri Yaad Ki TARAH KABHI KHATAM NA HOGA!!!

Saturday, June 2, 2007

INTEZAR!!!!!

Kitna chota sa lafz lagta hai na intezar magar is main puri kainat chupi hai ek ek lamha sadiyoon ki tarah guzarta hai sansoo ki hidat aur khoon ki rawani kam hoti mahsoos hoti hai jab intezar kisi apney ka hoo tu darwaze pai nigahey atak c rah jati hai jo zakham lamhoo nai diye hotey hai un ki saza sadiyoon talak jati hai haan mujhe intezar hai us tak pohanch janey ka haan mujhe intezar hai us ki nigahoon main khud k samoey janey ka haan mujhe intezar hai us k saath kiye gaye wadoo ko pura karney ka haan intezar hai mujhe dunia ki nazroo main nazrein daal k usey apna bananey ka haan intezar hai mujhe usey apna bananaey ka intezaar hai mujhe tamam rasoo ko tor k us talak janey ka intezar hai mujhe us ki sansoo ki shidat aur hato k lams talak ko pohanch janey ka intezar hai mujhe har us pal ka jo meri ankhoon main khuwab ban k aaye un ko haqeeqat ka roop deney ka intezar hai mujhe us k kandhey pey sar rakh k apney dukh us sai baatney ka intezar hai mujhe us kii hansii ki khankhanahat main kho janey ka intezar hai mujhe us ki sitaroo c jhilmilati ankhoo main doob janey ka intezar hai mujhe us ki kaliyoon ko apni girift main jakar lainey ka intezar hai mujhe us k gham ko apney gham apni khushiyoon ko us ki khushi bananey ka intezar hai mujhe apni mangi hui duwaoo k pura honey ka dekh lo aye merey humnafas main aaj bhi wahi reet k sahil pai ghar bana raha hoo pani ki lahrey inhey doobati jati hai magar main isi intezar k saath unhai banata jata hoon pani ki lahrey jab talak merey ghar ko ujarti rahey gii main apni himmat sai unhai naakam karta raho ga bass is intezar ko meri ankhoo k band honey sai pehley khatam kar do!!!!!

Thursday, May 31, 2007

Yaadein!!!


Yadein woh sunhera lafz jo apney ander khud ek dastan hai kuch kahtey hai yadein dukh deti hai kuch kahtey hai yaadein khushiyan deti hai merey liye meri zindagi ab kisi ki yadoo ka naam hai asi sunehri yaadein jo har sham surak k dhalney k baad apni bahain khul k mujhe apney ander samaet lati hai phir main aur meri tanhain aapas mein dher sari baatein kartey hai kabhi hontoo pai hansi aati hai tu kabhi ankhoo main tarye jhilmilatey hai woh pal hi itney haseen they k juda kar k bhi nahi juda ho patey woh kabhi kisi ki haseen ankhoo main dekhtey rahna us ki zulfoon ko sanwarna us ki sansoo ki mehak ko mahsoos karna us ki kaliyoon ko apni giraft main laina us k ansoo apni ankhoo sai bahana woh har ek pal asa lagta hai jasey kal hi ki si baat ho us ki masoom sharartey jab bhi yaad aati hai zindagi sey meri girift kamzor honey lagi hai us ka itra k poochna k kia tum mujh sai pyar kartey ho acha yeh batao kitna kartey ho aur mai falak ki taraf dekh k kahta asmaan pai jitney sitarey us ka hathoo main churiyon ki khanak merey ander artish paida kar deti main khud ko bebass mahsoos karta woh hansti meri bebasi pai bass kia kaho yeh samjh lo us k ansoo merey ansoo us k gham merey gham us ki khushi meri khushi woh wadey woh kasmey yeh yaadein hi tu meri subah ko sham aur meri sham ko raat bana deti hai kitni baatein hai jo zahen sai dil main utar jati hai har shab in yaadon main jalna hi shayad ab muqadar hai kam sai kam merey saath yeh yaadein tu hain us k hatoo ki mehndi k khushboo woh us ka poochna kasi lali hai tumhain kasa lagta hai yeh rang merey hatoo main aur mein agey aaney waly lamhoo sai bekhabar khuwaboo ki dunia main ulajh jata us k pairoo k paazeb k jhilmilatey sitarey aur un ki chan chan ki awaz main kab bhool sakta hoon us ka itra k chalna aur mujh sai poochna Anil tumhain yeh kasi lagti hai aur main Ulaj jata aur woh samajh jati aur mujhe tang karti us k hatoo ka lams aaj bhi mujhe mahsoos hota hai tu ankhoo kii nami chehrey k gird bikhar jati hai jab kabhi ankhain band karta hoon tu us ki zulfoo ka ghera chehrey ko dhanp deta hai ghabra k ankhain khul jati hai us ka merey pairoo pai apney per rakh k saadgi sai kahna lo main bhi tumharey barabar hogai aur merey dil main is khuwahish ka aajana k khuda karey tum mujh sai bhi uper hojao us ka meri nazroo main jhank k dekhna merey hathoo ki ungliyon main apni ungliyan daal k kahna kabhi mera saath tu na choro gey aur yeh suntey hi merey hath ki girift ka dabao barha jana kuch asa lagta k main usey sab sai durr chura k lai jana chahta tha k kahin hamain kisi ki nazar na lag jaye bass khadshey haqeeqat bantey gaye hum juda hotey gaye tareek raaton k saye barhtey gaye mera dil ek dasht ki manind hota gaya jis pai mohabbbat ki meh barasna band hogayi dil ki chatiyal hoti zameen nai kai bar mujh sai us ka poocha aur mein sirf itna kah paaya k mera tarasti ankhoo ko bhi abhi aur intezar karna hai mujhe abhi us k wadey ka intezar karna hai ab dekha yeh hai k woh musafir jo kisi aur des ka hogaya woh meri ankhoo k intezar ko apni amad ki tashnagi deta hai yeh meri jaagti ankhoo ko nami main dooba rahta chor deta hai khuwahishey tu khatam ho chali magar dil ka aetbaar apni jaga log poochtey hai kia hua tumhey tum har gaye aur main ankhoo ki nami ko hansii main mita k itna hi kah paata hoo "WOH JEET K BHI MUJHE HAR GAI AUR MEIN HAR K BHI USEY JEET GAYA GAR KIA HUA JO WOH MERI NA HO SAKI MEIN NAI TU USEY APNEY ANDER ZINDA RAKHA HAI!!!!!!

Wednesday, May 30, 2007

Mohabbat kia hai ?

Aao main tumhain batao mohabbat kia hai yeh naam hai un umeedo ka jo kabhi puri na ho yeh naam hai us saerab ka jo kabhi nazdeek an aa paye yeh naam hai un khuwaboo ka jin ki koi tabeer nahi yeh naam hai un wado ka jin k muqadar main kabhi pura hona na ho yeh naam hai us raat ka jis k agey subah ki naveed na ho yeh naam hai un khayaloo ka jin ki koi inteha nahi yeh naam hai us deewangi ak jis main koi har lamha deewana bana chahey yeh naam hai un lahroo ka jin k muqadar main koi sahil na hoo yeh naam hai us bhanwrey ka jo shama pai mitney k baad bhi hasrat ka manzar bana rah jaye yeh naam hai un hawaoo ka jin ki koi manzil na ho yeh naam hai us barish ka jis k muqadar main khud piyas ho yeh naam hai un zakhmoo ka jin ka muqadar main kabhi bharna na hoo yeh naam ahi un lamhoo ka jin ko khona khud ko kho jana ho SHAYAD ISEY HI PYAR KAHTEY HAI SHAYAD!!!!

Beetey Lamhey

hi
Beetey Lamhey main un paloo k barey main baat kar raha hoon jin ka meri zindagi sai itna mazboot rishta hai k shayad is zindagi main tu na tutt paye main un 14 yrs k rishtey ki baat jab main nai kisi ko chahah tha aur aaj bhi chahta hoon main aaj bhi un yadoo ko har pal apney saath mahsoos karta hoon woh yaadein shayad ab merey wajood ka hisa ban gai hai yeh yunn kah lijiye k main khud ko in yaadon sai juda nahi karna chahta wasey bhi ab yadoon k siwa zindagi main hai hi kia un paloo ki yaadein jab main bachpan sai jawani kii dehleez pai pohanchani laga tha jab meri umango ka dor start hua jab main chand ko choo laina chahta tha najaney kitni khuwahishey thi merey dil main har waqt hontoo pai hansi har lamha badalti zindagi bass usi ek pal main meri zindagi main woh aa gai jis k liye shayad main bana tha ek masoom sa chehra jis main saadgi sharam aur bholapan tha jis ko khush dekhnay ko shayad main apni hasti bhi mita sakta tha kia karta woh thi hi itni haseen k har lamha us ki ankhoo main dekhnai ko man karta jab woh soti hoti tu usey sirhaney beth k dekhney ko man karta jo itminan us k chehrey pai us waqt hota usey dekh k jo itminan milta woh lafzoo main bayan nahi ho sakta us ki masoom sharartey jab bhi zahen main aati hai meri ankhain bheeg jati hai ek pal main honto pai hansii aati hai aur ankh num hojati hai main un guzrey paloo ko kabhi chah k bhi bhool na paaya najaney kis miti ka bana hoon 14 saalon sai nahi bhoola ab kia bhoolna hai zindagi jitni un paloo main g chuka g chuka ab koi gham nahi jaha itni guzri aur bhi guzar jaye gii main nai mar k bhi in yadoo ko saath lai janey ki koshih ki magar uper waley ko shayad manzoor na tha shayad abhi aur pal baqi they bachpan k jo pal hansney they woh mohabbat main guzrey i cant realize where i am standing now no idea aaj na aagey janey ki tamana hai na peechey mor k dekhnai ka hosla kis liyeh agey dekho main nai ishq kia hai jo 1 bar hota hai mohabbatoon ka main qayal hi kab tha bas us ki ek ada nai mujh sai mera sab kuch lai liya aaj bhi us ka chahra jab nazar main aata hai main sab kuch bhool jata hoon bass ankhoo main nami aa jati hai mujhe nahi pata k main kisi aur ko q nahi chah saka bohat options they aur hain but is that a solution nahi main zindagi ko amanat samjhta hoon jo kisi ko ek bar dey dii so dey dii dil k fasley shayad asey hi hotey hai aaj bass har so tareeki hai koshish karta hoo k mujh sai kisi ko dekh na ho bass raat ka pal bhari hojata hai guzar nahi pata subah tak us k lihey khatoon cards k saharey beetel lamhoo main dhal k guzarti hai pata bhi nahi chalta k kab raat nai subah ka roop dhar liya shayad mohabbat isi ka naam hai main kia karo k gar main khudgharz nahi ban paya kia karo k main yadoo ko mita nahi saka shayad khuda nai mujhe asa hi banaya tha shayad ab zindagi inhi hasraton ka naam hai main nai useu kho k bhi apney ander paaya na janey us ka kia hal ho diloo ka haal uper wala hi janta hai bass ab aur type nahi ho pa raha yaadein aati hai ankhoo main ansoo nai dhunlahat di bye