Tuesday, June 12, 2007

Ansoo


Ansoo yeh us ahsaas ka naam hai jo dil ki yaadon ko haqeeqat ka roop detey huey ankhoon sai bahar nikal aatey hai yeh un motiyoon ki manind hotey hai jin ki pakeezgi pai har koi rashk karta hai yeh kabhi khushi sai chalak jatey hai lakin main un ansoo ka zikar kar raha hoon jo kisi ki yaadon main chalak jaye jab kabhi kisi guzrey lamhey ka khayal aaye ankhain jhalak jaati hai jab kisi ki mohabbat ka ahsaas shidat sai aaney lagta hai yaaadein ansoo ban jati hai jab kisi ki narmi sey ki gai baatain yaad aati hai khoon main rawani barhnai lagti hai jab kabhi dharkanoo ki raftar brabt honey lagti hai ansoo ban jatey hai jab kabhi dil main dard sa honey lagta hai jab yaadein dum ghotney lagti hai jab har taraf habs sa honey lagta hai jab shidat e dard dil main hook c jaga deta hai ansoo ban jatey hai jab kisi ki mohabbat ka lams chehrey pai mahsoos hota hai jab kisi guzrey pal ki yaadein dasney lagti hai jab hatoo ki narmi yaad aati hai jab us ki zulfoo ka ghera tareek honey lagta hai jab suraj badloo main dhalney lagta hai jab raat khamoshi sai merey gird andhera phelaney lagti hai ansoo ban jatey hai jab shama -e-dil bujhney lagti hai jab ragoo sai bahta lahoo jamney lagta hai jab ankhoo ki doorey surkh honey lagti hai jab dua b asar honey lagti hai jab faryad ki gunj palat aati hai ansoo ban jatey hai jab kabhi wadoo ka tootna yaad aata hai jab kabhi barish ka mosaam kabhi jab kabhi woh jaroo ki sardi yaad aati hai jab us ki bahoo ka hisar yaad aata hai jab kabhi us ki ankhoo ki gahrai yaad aati hai jab is k hontoo ka lams bechain karta hai jab us ki sansoo ki hidat wajood ko pighlaney lagti hai jab 1 jaan 2 qalb ankhoo main utarta jata hai ansoo ban jatey hai jab khud pai ikhtiyar mitney lagta hai jab saath chalna yaad aata hai jab jawani raqs karti mahsoos hoti thi jab zindagi ko gna yaad aata hai ansoo ban jatey hai ayr meri mohabbat main nahi janta yeh ankhoo ki nami kab khatam hogi bass faqat yeh dua hai ab meri k terey ankhoo ki nami bhi ab meri ankhoo sai bahey meri hansii terey hontoo pai jhilmilaye aur terey ghum meri palkoon main tarey ban jaye

Ansoo!!

Friday, June 8, 2007

Gar Kia Hua!!!

Gar kia hua jo main terey ansoo na pooch sakoo haan main terey saath rolonga gar kia hua jo main terey saath qadam sai qadam na mila sakta main terey qadmoo pai jhuk longa,gar kia hua jo mein terey laboo pai muskurahat na la saka main apney laboo ki hansii terey naam kardonga,gar kia hua jo tu shama na ban paye main apni har sham bhanwrey ki manind teri mohabbat pai qurban kardonga,gar kia hua jo main terey gird andheroo ko na mita saka main teri mohabbat main shama ban k khud ko jalata rahonga,gar kia hua jo mein tujhe tham na sakaa haan main khud ko dunia k saamney jhuka k tujhe uper karjaonga,gar kia hua jo main tujhe paa na saka main teri mohabbat main khud ko fana kar jaonga,gar kia hua jo main tumjhe apni zindagi main la na sakaa main apni sansoo ki shidat aur khoon ki rawani main tujhe amar karjaonga Gar Kia Hua Shayar Yeh Gar Teri Yaad Ki TARAH KABHI KHATAM NA HOGA!!!

Saturday, June 2, 2007

INTEZAR!!!!!

Kitna chota sa lafz lagta hai na intezar magar is main puri kainat chupi hai ek ek lamha sadiyoon ki tarah guzarta hai sansoo ki hidat aur khoon ki rawani kam hoti mahsoos hoti hai jab intezar kisi apney ka hoo tu darwaze pai nigahey atak c rah jati hai jo zakham lamhoo nai diye hotey hai un ki saza sadiyoon talak jati hai haan mujhe intezar hai us tak pohanch janey ka haan mujhe intezar hai us ki nigahoon main khud k samoey janey ka haan mujhe intezar hai us k saath kiye gaye wadoo ko pura karney ka haan intezar hai mujhe dunia ki nazroo main nazrein daal k usey apna bananey ka haan intezar hai mujhe usey apna bananaey ka intezaar hai mujhe tamam rasoo ko tor k us talak janey ka intezar hai mujhe us ki sansoo ki shidat aur hato k lams talak ko pohanch janey ka intezar hai mujhe har us pal ka jo meri ankhoon main khuwab ban k aaye un ko haqeeqat ka roop deney ka intezar hai mujhe us k kandhey pey sar rakh k apney dukh us sai baatney ka intezar hai mujhe us kii hansii ki khankhanahat main kho janey ka intezar hai mujhe us ki sitaroo c jhilmilati ankhoo main doob janey ka intezar hai mujhe us ki kaliyoon ko apni girift main jakar lainey ka intezar hai mujhe us k gham ko apney gham apni khushiyoon ko us ki khushi bananey ka intezar hai mujhe apni mangi hui duwaoo k pura honey ka dekh lo aye merey humnafas main aaj bhi wahi reet k sahil pai ghar bana raha hoo pani ki lahrey inhey doobati jati hai magar main isi intezar k saath unhai banata jata hoon pani ki lahrey jab talak merey ghar ko ujarti rahey gii main apni himmat sai unhai naakam karta raho ga bass is intezar ko meri ankhoo k band honey sai pehley khatam kar do!!!!!