Wednesday, June 24, 2009

"ROSHNI KIA DEY GI"


"ROSHNI KIA DEY GI"


MEIN TANHAIYO KA RAHI HO ROSHNI MUJHE KIA DEGI
SAREH SHAM BUND HAI DAR MERA ROSHNI MUJHE KIA DEY GI

GHUTAN HAI EK KHALISH HAI MEREY SEENEY MAIN
KAR LI JO MOHABBAT NAFRATEIN MUJHE AB KIA DEIN GI

MERA MAZI MERA HAAL MERA MUSTAQBIL HAI BANA
MILI JO UN SAI TAQDEER AB DUNIA SHANAI KIA DEY GI

DEKHA PAISA DEKHI SHOHRAT DEKHA DUNIA KA RUNG ANIL
GAR WOH HI NAHI TU YEH ZINDAGI MUJHE TU BHALA KIA DEY GI

MUJHE DOOBTEY DEKH K SAHIL PAI HASNEY WALO KO ANIL
ZAMANEY KI LAGI JO THOKAR WAHI PAL MAIN UNHAIN GIRA DEY GI

"SAMBHALEY RAKHNA"


"SAMBHALEY RAKHNA"

TUM KISI DIN MUJH SAI KISI BAHENY MILNA
MERI UDAS SHAMOO KO SAJANEY MILNA

MERI ANKHOO MAIN JALTEY HAI MOHABBAT K DIYE
CHALO KISI SHAM UNHAIN HI BUJHANEY MILNA

GAR TAQDEER MAIN TUM NAHI CHALO NA HI SAHI
MUJH SAI JO BICHREY HO AB KHUD KO SMBHALEY RAKHNA

SARE RAH GAR KAHIN MUJH SAI TAKRA BHI JAO TU SUN LO
ANKHO MAIN ZABT K PARDEY LABOO PAI TALEY RAKHNA

APNI NAKAMI KO TAQDEER KA LIKHA KEHNA MAGAR
DIL KA RAZOO SAI ZRA KHUD KO CHUPA K RAKHNA

MEREY DAMAN MAIN AAJ BHI MOHABBAT K ANSOO HAI ANIL
UN SAI KEHNA K APNI NIDAMAT SAMBHALEY RAKHNA

Regards:
An33l

"Bchpan Key Din Mujhe Lauta Do"


"Bchpan Key Din Mujhe Lauta Do"
Koi jao merey bachpan k din mujhe lauta do
Meri shokhi woh mera bakpan mujhe lauta do

Bachpan k dinoo ki woh nanhi khuwahishsey mujhe lauta do

Meri masoomiiyat woh meri begharz mohabbat mujhe lauta do

Lai lo mujh sai mera sab kamaya abhi k abhi tum
Buss dariya k sahil pai khela ek din mujhe lauta doo

Mujhe lauta do woh merey bachpan woh mera chain o sakoon

Is dunia sai main thak gaya k ab sona hai mujhe bfikri sai choor

Gaye din woh bachpan k tu ab mujhe yeh ahsaas hogaya

Bachpan hi main mein kahin zinda tha ab tu faqt dunia main kho gaya

Koi jao merey bachpan k din mujhe lauta do
Meri shokhi woh mera bakpan mujhe lauta do..........

Regards:
Aneel Naqvi

"Ek Khuwab"


"Ek Khuwab"

Us nai poocho shokhi sai kitna chahtey ho mujhe
main nai hatoo ko khol k usey falak dikhla dia

Us nai poocho kia kar saktey ho merey liye
Mein nai zanoo pai jhuk k khud ko us ka bana dia

Us nai poocha kitna chahtey ho tum mujhe
Meri ankhoo nai ashkoo ko baha kar usey apna bana lia


Us nai poocha kia jaan dey pao gey tum meri khatir
Mein nai seeney sai dil nikal us ki hateli per saja dia

Us nai shokhi sai li angrai aur kaha gar na rahi mein tu phir
Mein nai usey zameen ki teh main apna naya ghar dikha dia

Us nai kaha ab main jao k koi mujhe dekh na lai ab tumharey saath

Mein nai soti ankhoo ko khola apna khuwab jaga dia

Regards:
Aneel Naqvi

Pray....


"Pray"

Mera mazi mera haal mera mustaqbil bana dai
Aye khuda main banda ho tera mujh ko mera pyar dila dai

Meri kayanat main tu us k siwa ek zara bhi nahi hai
Aye khuda par terey khazaney main tu koi kaal nahi hai

Mera mazi mera haal mera mustaqbil bana dai
Aye khuda main banda ho tera mujh ko mera pyar dila dai

Merey ansoo teri khudai ko ashkoo sai na bhar dai
Aye khuda reham kar in bechartey dilo ko tu mila dai

Koi magey sona koi chandi koi mangey hai kahzana
Mein faqt chaho tu kia tujh sai geeney ka bahana

Meri khuwahish meri iltaja ko tu na saza dai
Aye khuda main banda ho tera mujh ko mera pyar dila dai

Merey rukhsaar merey ansoo tujhe detey hai sadain
Terey arsh ko chootey hai ab tu meri faryaad k saye

Tu kareem hai raheem hai tu hi azeem hai malik hai tu mera
Aye khuda main banda ho tera mujh ko mera pyar dila dai

Aye khuda main banda ho tera mujh ko mera pyar dila dai......

Regards:
An33l

"Just Once"


"Just Once"
Once wind came through my window n touched me
N i feel its u

once a child hold my hand tightly
n i feel its u

once i am crying and sum1 put my tears on his hand
n i feel its u

once i feel lonely n sum one hold me in his arms
n i feel its u

once n once n once
just once come back n say i m with u
if this dream coming true i promise i neva dreamin again
Just once!

"Khuda Kahir Karey"


"Khuda Kahir Karey"
Kal mujhe Tootah dekh k guzarney waley
aaj jo tootey hai buss khuda khair karey

Kal mujhe larakhta dekh k hasney waley
aaj jo roye hai buss khuda khair karey

kal mujhe ilzam e mohabbat deney waley
aaj huey nadim hai buss khuda khair karey

kal mujhe musafat sai bhatkaney waley
aaj jo bhatkey hai buss khuda khair karey

Kal apney hatoo ko mujh sai churaney waley
aaj khali hath phirtey hai buss khuda khair karey

Kal mujhe andhero main chor k janey waley
aaj roshni sai dartey hai buss khuda khair karey

kal merey doobney ka nazara karney waley
aaj jo doobey hai buss khuda khair karey

Mein nai mangi tu faqat un ki khair mangi anil
ab khuda un ka insaf jo kardey tu buss khuda khair karey

Regards:
Aneel