
"Bchpan Key Din Mujhe Lauta Do"
Koi jao merey bachpan k din mujhe lauta do
Meri shokhi woh mera bakpan mujhe lauta do
Bachpan k dinoo ki woh nanhi khuwahishsey mujhe lauta do
Meri masoomiiyat woh meri begharz mohabbat mujhe lauta do
Lai lo mujh sai mera sab kamaya abhi k abhi tum
Buss dariya k sahil pai khela ek din mujhe lauta doo
Mujhe lauta do woh merey bachpan woh mera chain o sakoon
Is dunia sai main thak gaya k ab sona hai mujhe bfikri sai choor
Gaye din woh bachpan k tu ab mujhe yeh ahsaas hogaya
Bachpan hi main mein kahin zinda tha ab tu faqt dunia main kho gaya
Koi jao merey bachpan k din mujhe lauta do
Meri shokhi woh mera bakpan mujhe lauta do..........
Regards:
Aneel Naqvi
No comments:
Post a Comment