hi
Beetey Lamhey main un paloo k barey main baat kar raha hoon jin ka meri zindagi sai itna mazboot rishta hai k shayad is zindagi main tu na tutt paye main un 14 yrs k rishtey ki baat jab main nai kisi ko chahah tha aur aaj bhi chahta hoon main aaj bhi un yadoo ko har pal apney saath mahsoos karta hoon woh yaadein shayad ab merey wajood ka hisa ban gai hai yeh yunn kah lijiye k main khud ko in yaadon sai juda nahi karna chahta wasey bhi ab yadoon k siwa zindagi main hai hi kia un paloo ki yaadein jab main bachpan sai jawani kii dehleez pai pohanchani laga tha jab meri umango ka dor start hua jab main chand ko choo laina chahta tha najaney kitni khuwahishey thi merey dil main har waqt hontoo pai hansi har lamha badalti zindagi bass usi ek pal main meri zindagi main woh aa gai jis k liye shayad main bana tha ek masoom sa chehra jis main saadgi sharam aur bholapan tha jis ko khush dekhnay ko shayad main apni hasti bhi mita sakta tha kia karta woh thi hi itni haseen k har lamha us ki ankhoo main dekhnai ko man karta jab woh soti hoti tu usey sirhaney beth k dekhney ko man karta jo itminan us k chehrey pai us waqt hota usey dekh k jo itminan milta woh lafzoo main bayan nahi ho sakta us ki masoom sharartey jab bhi zahen main aati hai meri ankhain bheeg jati hai ek pal main honto pai hansii aati hai aur ankh num hojati hai main un guzrey paloo ko kabhi chah k bhi bhool na paaya najaney kis miti ka bana hoon 14 saalon sai nahi bhoola ab kia bhoolna hai zindagi jitni un paloo main g chuka g chuka ab koi gham nahi jaha itni guzri aur bhi guzar jaye gii main nai mar k bhi in yadoo ko saath lai janey ki koshih ki magar uper waley ko shayad manzoor na tha shayad abhi aur pal baqi they bachpan k jo pal hansney they woh mohabbat main guzrey i cant realize where i am standing now no idea aaj na aagey janey ki tamana hai na peechey mor k dekhnai ka hosla kis liyeh agey dekho main nai ishq kia hai jo 1 bar hota hai mohabbatoon ka main qayal hi kab tha bas us ki ek ada nai mujh sai mera sab kuch lai liya aaj bhi us ka chahra jab nazar main aata hai main sab kuch bhool jata hoon bass ankhoo main nami aa jati hai mujhe nahi pata k main kisi aur ko q nahi chah saka bohat options they aur hain but is that a solution nahi main zindagi ko amanat samjhta hoon jo kisi ko ek bar dey dii so dey dii dil k fasley shayad asey hi hotey hai aaj bass har so tareeki hai koshish karta hoo k mujh sai kisi ko dekh na ho bass raat ka pal bhari hojata hai guzar nahi pata subah tak us k lihey khatoon cards k saharey beetel lamhoo main dhal k guzarti hai pata bhi nahi chalta k kab raat nai subah ka roop dhar liya shayad mohabbat isi ka naam hai main kia karo k gar main khudgharz nahi ban paya kia karo k main yadoo ko mita nahi saka shayad khuda nai mujhe asa hi banaya tha shayad ab zindagi inhi hasraton ka naam hai main nai useu kho k bhi apney ander paaya na janey us ka kia hal ho diloo ka haal uper wala hi janta hai bass ab aur type nahi ho pa raha yaadein aati hai ankhoo main ansoo nai dhunlahat di bye
Wednesday, May 30, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
bht khuskismat wale insaan hote hai jinhe sacha pyaar milta hai ...aur jine sacha pyaar hota hai ...pyaar mein bht himmat hoti hai ...pyaar khuda dusra roop hai ,aur sacha pyaar toh apni manjil khud dundh leta hai ...apko apka pyaar jarur milega yeh ik tute dil ki dua hai aur jo jarur puri hogyi..all d best dear fren
Ab to aysa lagta hai jaise kuch bhi nahi hai,
Mehtab na suraj na andhera na sawera...
Aankhon ke darichon mein kisi husn ke chilman...
Aur dil ki panahon mein kisi dard ka dera...
Shakhon mein khayalon ke ghane paer ki shayad...
Ab aa ke kare ga na koi khwaab basera...
Mana ke yeh sunsaan ghari sakht ghari hai...
Lekin mere bhai yeh to faqat ik hi ghari hai...
Himmat karo jine ko to ik umr pari hai...
N as i said it will pass away n u will get her one day!!!
Himmat karo jine ko to ik umr pari hai...!
Post a Comment