Thursday, May 31, 2007

Yaadein!!!


Yadein woh sunhera lafz jo apney ander khud ek dastan hai kuch kahtey hai yadein dukh deti hai kuch kahtey hai yaadein khushiyan deti hai merey liye meri zindagi ab kisi ki yadoo ka naam hai asi sunehri yaadein jo har sham surak k dhalney k baad apni bahain khul k mujhe apney ander samaet lati hai phir main aur meri tanhain aapas mein dher sari baatein kartey hai kabhi hontoo pai hansi aati hai tu kabhi ankhoo main tarye jhilmilatey hai woh pal hi itney haseen they k juda kar k bhi nahi juda ho patey woh kabhi kisi ki haseen ankhoo main dekhtey rahna us ki zulfoon ko sanwarna us ki sansoo ki mehak ko mahsoos karna us ki kaliyoon ko apni giraft main laina us k ansoo apni ankhoo sai bahana woh har ek pal asa lagta hai jasey kal hi ki si baat ho us ki masoom sharartey jab bhi yaad aati hai zindagi sey meri girift kamzor honey lagi hai us ka itra k poochna k kia tum mujh sai pyar kartey ho acha yeh batao kitna kartey ho aur mai falak ki taraf dekh k kahta asmaan pai jitney sitarey us ka hathoo main churiyon ki khanak merey ander artish paida kar deti main khud ko bebass mahsoos karta woh hansti meri bebasi pai bass kia kaho yeh samjh lo us k ansoo merey ansoo us k gham merey gham us ki khushi meri khushi woh wadey woh kasmey yeh yaadein hi tu meri subah ko sham aur meri sham ko raat bana deti hai kitni baatein hai jo zahen sai dil main utar jati hai har shab in yaadon main jalna hi shayad ab muqadar hai kam sai kam merey saath yeh yaadein tu hain us k hatoo ki mehndi k khushboo woh us ka poochna kasi lali hai tumhain kasa lagta hai yeh rang merey hatoo main aur mein agey aaney waly lamhoo sai bekhabar khuwaboo ki dunia main ulajh jata us k pairoo k paazeb k jhilmilatey sitarey aur un ki chan chan ki awaz main kab bhool sakta hoon us ka itra k chalna aur mujh sai poochna Anil tumhain yeh kasi lagti hai aur main Ulaj jata aur woh samajh jati aur mujhe tang karti us k hatoo ka lams aaj bhi mujhe mahsoos hota hai tu ankhoo kii nami chehrey k gird bikhar jati hai jab kabhi ankhain band karta hoon tu us ki zulfoo ka ghera chehrey ko dhanp deta hai ghabra k ankhain khul jati hai us ka merey pairoo pai apney per rakh k saadgi sai kahna lo main bhi tumharey barabar hogai aur merey dil main is khuwahish ka aajana k khuda karey tum mujh sai bhi uper hojao us ka meri nazroo main jhank k dekhna merey hathoo ki ungliyon main apni ungliyan daal k kahna kabhi mera saath tu na choro gey aur yeh suntey hi merey hath ki girift ka dabao barha jana kuch asa lagta k main usey sab sai durr chura k lai jana chahta tha k kahin hamain kisi ki nazar na lag jaye bass khadshey haqeeqat bantey gaye hum juda hotey gaye tareek raaton k saye barhtey gaye mera dil ek dasht ki manind hota gaya jis pai mohabbbat ki meh barasna band hogayi dil ki chatiyal hoti zameen nai kai bar mujh sai us ka poocha aur mein sirf itna kah paaya k mera tarasti ankhoo ko bhi abhi aur intezar karna hai mujhe abhi us k wadey ka intezar karna hai ab dekha yeh hai k woh musafir jo kisi aur des ka hogaya woh meri ankhoo k intezar ko apni amad ki tashnagi deta hai yeh meri jaagti ankhoo ko nami main dooba rahta chor deta hai khuwahishey tu khatam ho chali magar dil ka aetbaar apni jaga log poochtey hai kia hua tumhey tum har gaye aur main ankhoo ki nami ko hansii main mita k itna hi kah paata hoo "WOH JEET K BHI MUJHE HAR GAI AUR MEIN HAR K BHI USEY JEET GAYA GAR KIA HUA JO WOH MERI NA HO SAKI MEIN NAI TU USEY APNEY ANDER ZINDA RAKHA HAI!!!!!!

2 comments:

Unknown said...

apne bht acha describe kiya hai yaadein ko ...beautifully express ...sahi hai is duniya mein koibhi cheez apni nahi hoti ...sab kuch ik na ik din bichar jata hai bt yaadein woh hai jo humse koi nahi cheen sakta ..mujhe toh ik song yaad aa raha hai yaadein mein
"BAATEIN BHUL JATI HAI ,YAADEIN YAAD REH JATI HAI , YEH YAADEIN KISI DILO JANAM KE CHALE JANE KE BAAD AATI HAI"

Unknown said...

tumahra hr alfaaz koi na koi jazba apnae mei samayae hue hei,jb tum us ki yaado mei kho jaate ho toh tumahrae alfaaz hastae hue sunayee dete hei or jb tum hakiket ki duniya mei waapis aatae ho toh tumahrae khyal sisktae hei,tumahrae khoon ke ikk 2 katrae mei hei vo ,vo tumahrae pass hei sach mei,mujhae us ke hone ka ehsaas hota hei,us ki vajeh se tum is duniya ki un chnd logo mei shumaar ho jo apnae ehsaaso ko is khoobsooret andaaz mei bayaan kr skta hei ki saamnae wala us drd ko tumahrae saath mehsoos krta hei.