Wednesday, June 24, 2009

"ROSHNI KIA DEY GI"


"ROSHNI KIA DEY GI"


MEIN TANHAIYO KA RAHI HO ROSHNI MUJHE KIA DEGI
SAREH SHAM BUND HAI DAR MERA ROSHNI MUJHE KIA DEY GI

GHUTAN HAI EK KHALISH HAI MEREY SEENEY MAIN
KAR LI JO MOHABBAT NAFRATEIN MUJHE AB KIA DEIN GI

MERA MAZI MERA HAAL MERA MUSTAQBIL HAI BANA
MILI JO UN SAI TAQDEER AB DUNIA SHANAI KIA DEY GI

DEKHA PAISA DEKHI SHOHRAT DEKHA DUNIA KA RUNG ANIL
GAR WOH HI NAHI TU YEH ZINDAGI MUJHE TU BHALA KIA DEY GI

MUJHE DOOBTEY DEKH K SAHIL PAI HASNEY WALO KO ANIL
ZAMANEY KI LAGI JO THOKAR WAHI PAL MAIN UNHAIN GIRA DEY GI

"SAMBHALEY RAKHNA"


"SAMBHALEY RAKHNA"

TUM KISI DIN MUJH SAI KISI BAHENY MILNA
MERI UDAS SHAMOO KO SAJANEY MILNA

MERI ANKHOO MAIN JALTEY HAI MOHABBAT K DIYE
CHALO KISI SHAM UNHAIN HI BUJHANEY MILNA

GAR TAQDEER MAIN TUM NAHI CHALO NA HI SAHI
MUJH SAI JO BICHREY HO AB KHUD KO SMBHALEY RAKHNA

SARE RAH GAR KAHIN MUJH SAI TAKRA BHI JAO TU SUN LO
ANKHO MAIN ZABT K PARDEY LABOO PAI TALEY RAKHNA

APNI NAKAMI KO TAQDEER KA LIKHA KEHNA MAGAR
DIL KA RAZOO SAI ZRA KHUD KO CHUPA K RAKHNA

MEREY DAMAN MAIN AAJ BHI MOHABBAT K ANSOO HAI ANIL
UN SAI KEHNA K APNI NIDAMAT SAMBHALEY RAKHNA

Regards:
An33l

"Bchpan Key Din Mujhe Lauta Do"


"Bchpan Key Din Mujhe Lauta Do"
Koi jao merey bachpan k din mujhe lauta do
Meri shokhi woh mera bakpan mujhe lauta do

Bachpan k dinoo ki woh nanhi khuwahishsey mujhe lauta do

Meri masoomiiyat woh meri begharz mohabbat mujhe lauta do

Lai lo mujh sai mera sab kamaya abhi k abhi tum
Buss dariya k sahil pai khela ek din mujhe lauta doo

Mujhe lauta do woh merey bachpan woh mera chain o sakoon

Is dunia sai main thak gaya k ab sona hai mujhe bfikri sai choor

Gaye din woh bachpan k tu ab mujhe yeh ahsaas hogaya

Bachpan hi main mein kahin zinda tha ab tu faqt dunia main kho gaya

Koi jao merey bachpan k din mujhe lauta do
Meri shokhi woh mera bakpan mujhe lauta do..........

Regards:
Aneel Naqvi

"Ek Khuwab"


"Ek Khuwab"

Us nai poocho shokhi sai kitna chahtey ho mujhe
main nai hatoo ko khol k usey falak dikhla dia

Us nai poocho kia kar saktey ho merey liye
Mein nai zanoo pai jhuk k khud ko us ka bana dia

Us nai poocha kitna chahtey ho tum mujhe
Meri ankhoo nai ashkoo ko baha kar usey apna bana lia


Us nai poocha kia jaan dey pao gey tum meri khatir
Mein nai seeney sai dil nikal us ki hateli per saja dia

Us nai shokhi sai li angrai aur kaha gar na rahi mein tu phir
Mein nai usey zameen ki teh main apna naya ghar dikha dia

Us nai kaha ab main jao k koi mujhe dekh na lai ab tumharey saath

Mein nai soti ankhoo ko khola apna khuwab jaga dia

Regards:
Aneel Naqvi

Pray....


"Pray"

Mera mazi mera haal mera mustaqbil bana dai
Aye khuda main banda ho tera mujh ko mera pyar dila dai

Meri kayanat main tu us k siwa ek zara bhi nahi hai
Aye khuda par terey khazaney main tu koi kaal nahi hai

Mera mazi mera haal mera mustaqbil bana dai
Aye khuda main banda ho tera mujh ko mera pyar dila dai

Merey ansoo teri khudai ko ashkoo sai na bhar dai
Aye khuda reham kar in bechartey dilo ko tu mila dai

Koi magey sona koi chandi koi mangey hai kahzana
Mein faqt chaho tu kia tujh sai geeney ka bahana

Meri khuwahish meri iltaja ko tu na saza dai
Aye khuda main banda ho tera mujh ko mera pyar dila dai

Merey rukhsaar merey ansoo tujhe detey hai sadain
Terey arsh ko chootey hai ab tu meri faryaad k saye

Tu kareem hai raheem hai tu hi azeem hai malik hai tu mera
Aye khuda main banda ho tera mujh ko mera pyar dila dai

Aye khuda main banda ho tera mujh ko mera pyar dila dai......

Regards:
An33l

"Just Once"


"Just Once"
Once wind came through my window n touched me
N i feel its u

once a child hold my hand tightly
n i feel its u

once i am crying and sum1 put my tears on his hand
n i feel its u

once i feel lonely n sum one hold me in his arms
n i feel its u

once n once n once
just once come back n say i m with u
if this dream coming true i promise i neva dreamin again
Just once!

"Khuda Kahir Karey"


"Khuda Kahir Karey"
Kal mujhe Tootah dekh k guzarney waley
aaj jo tootey hai buss khuda khair karey

Kal mujhe larakhta dekh k hasney waley
aaj jo roye hai buss khuda khair karey

kal mujhe ilzam e mohabbat deney waley
aaj huey nadim hai buss khuda khair karey

kal mujhe musafat sai bhatkaney waley
aaj jo bhatkey hai buss khuda khair karey

Kal apney hatoo ko mujh sai churaney waley
aaj khali hath phirtey hai buss khuda khair karey

Kal mujhe andhero main chor k janey waley
aaj roshni sai dartey hai buss khuda khair karey

kal merey doobney ka nazara karney waley
aaj jo doobey hai buss khuda khair karey

Mein nai mangi tu faqat un ki khair mangi anil
ab khuda un ka insaf jo kardey tu buss khuda khair karey

Regards:
Aneel

lab meri khul gaye tu....


na pooch mujh sai meri tanhai ka sabab
lab meri khul gaye tu apna k sar jhuk jayengey

na pooch mujh sai merey tarapney ka sabab
lab merey khul gaye tu log toot k bikhar jayengey

Na pooch mujh sai merey sajdoo ka sabab
dua k uthey hath bhi sharam sai jhuk jayengey

Na pooch merey qadmoo k larkhney ka sabab
thamey hath logo sai chut jaynegey

na pooch mujh sai kiye wado ka sabab
kiye wadoo sai auro k aitbaar uth jayengey

na pooch mujh sai is andazey bayan ka sabab anil
yeh tu chand lafz hai ankhoo main moti bikhar jayengey

Regards:
Anil Naqvi

bachpan k din.....


Aye khuda merey bachpan k din mujhe lauta dey
woh laboo ki muskan woh shokh sharat mujhe lauta dey

Woh sakoon e qalb woh bkhaloos mohabbat k pal
mujhe woh gudiya ki shadi aur kaghaz ki kashti lauta dey

aye khuda mujhe woh bachpan k din lauta dey

Woh barish k mausam main uchal tey kudtey rehna
woh maa ki god ki neend woh bankpan lauta dey

Merey mola mujhe yeh dunia bohat satati hai
lai ley mujh sai mera sab bus mera bachpan mjhe lauta dey

Regards:
Anil

Takta Ho Dar Ki Janib....


"Har Ghari"

Har Ghari takta ho main dar ki janib
Kisi ki qadmoo ki chap ka goya intezar hai mujhe

Har ghari num rehti hai meri ankhain
Goya kisi ka har pal khayal ho mujhe

Har ghari jhankta ho mein mazi k dareecho mein
Goya merey mazi main mera hal dikhta ho mujhe

Har ghari khud ko toota dekhta ho main
Goya Toot k bikhar janey sai ishq ho mujhe

Har ghari yahi sochta ho mein bus anil
meri soch kabhi us k zehen main bhi ayi hogi

Regards:
Anil Naqvi

"Merey khuda"


"Merey khuda"

Merey khuda us ka anchal mujhe lauta dey
Merey ashkoo ko rokney ki koi tu wajah dai

Merey khuda mujhe us ka bazoo ka sahara lauta dey
Mein jab bikharta ho thamney ki koi tu wajah dai

Merey khuda merey barhtey qadmoo ko us k qadmoo sai mila dey

Merey barhtey qadmoo ko agey barhney ki koi tu wajah dey

Merey khuda merey uthtey hatoo ki dua us ko bana dai
Merey har pal kiye sajdoo k ewaz mujhe koi tu sila dey

Merey khuda gar tu nahi milata mujhe us sai gar yehi teri raza hai
Merey ek dua kar poori merey naseeb ki har ek khushi tu us ka naseeb bana dey

Reagrds:
An33 Naqvi

Munfarid......


Zamaney ki gard nai lakh chaha meri rawish ko badalna
mein munfarid tha hamesha apnoo sai juda nazar aaya

zamaney nai lakh chaha apney hunar mujh ko sikhana
mein tu sada ka baghi tha kabhi pasti ki janib na laut paya

zamaney nai lakh chaha meri uraan ko shikaney main kasna
Mein woh panchi rha jo pinjrey main na phir kabi laut paya

zmeney nai lakh chaha apney adab e mehfil sai ashan karna mujhe anil
mein tu khud sar tha sada ka apni bhi tamana na khud sai karpaya

Regards:
Anil Naqvi

Anchal Chehrey Pai Bikhar Jana.....


Us k anchal ka chehrey pai bikhar jana
us k hatoo k lums ka dheerey sai chehrey sai guzar jana

yeh kal hi ki c baat tu lagti hai na......

haan kal hi ki baat tu hai
jab hum hatoo main hath daley dunia sai bekhabar dheroo baatein kiya kartey thai....

Jab us ka ghum apna apna sa lagta tha jab us k ek ansoo pai dil machal jaya karta tha....

Jab fikar hoti tu sirf us ko khushiyaan deney ki
Jab fikar hoti tu sarey pal us k saath beetaney ki...

Jab fikar hoti kuch kar guzarney ki....
Jab fikar hoti k koi hamain juda na kardey....

Woh hazar bar kehti arey baba kuch nahi hoga fikar na karo....
Magar jahan mohabbat hoti hai darr bhi tu hota hai na....

Lakh samjhaney pai bhi dil na manta.....
Koi dargah koi sajda na chora koi ek pal na beeta jab usey na manga......

Magar har mangi sheh kahan milti hai....
Zindagi main bhala poori kayanat kisey milti hai....

Woh pal beet gaye yunn samjhey sahil pai baney qadmoo k nishaan ki manind mit gaye.....

Reh gayi tu faqt yadeein....
Ek wada khud sai kiya jantey hai kesa wada....

Apney liye geeney ka khud sai pyar karney ka
ab meri zindagi ka har ek din kisi k ghum ko batney ka naam hai....

Kia yeh ek din kisi sai ki gai mohabbat sai kam hai
Apney liye sab geetey hai insaan wahi bhala jo dosroo k liye jiye.....

Regards:
Anil Naqvi

Tujh Tak Pohanchney Ki Chah Nai......


"Tujh Tak Pohanchney Ki Chah Nai"

Tujh Tak Pohanchney Ki Chah nai
Bund rahoo key meri qufl khol diye

Mushkilo mein ghira main kabhi akela tha
Hosley nai trey merey bund darr khol diye

Anjaan tha main kabhi khud apni uran sai anil
terey ek saath nai meri parwaz k bandh khol diye

Berung thi zindagi tanhaiyoon mein ghira tha mein anil
Teri chahhat nai merey gird zindagi k rung Ghoal diye

Regards:
Anil Naqvi

Khoney Jigar Key Saath


seecha jis rishtey ko hum nai khone jigar k saath
chubha usi phool ka kanta hamarey jigar k paar

kartey thai jo log hum sai ahdey wafa jafa k saath
chura gaye ek pal main hum sai nazrein ada k saath

buney thai jo sapney hum nai har ghari un k saath
ek pal main sab diye bujhaye is nai saza key saath
Regards:
Anil Naqvi

Hosla Hai Zamaney Ko Badalney Ka.....


Hum main azam hai hosla hai zmaney ko badalney ka
durr seher sahi azam saath hai andhero ko badalney ka

hum akeley hi sahi hum apney aap main ek kayanat rakhtey hai
baat itni hai k aaj bhi bezameero main hum zameer sath rkhtey hai

no bhoolo jo log hosley sai asoolo k saath chaltey hai
asey hi log hai jo agey is mashrey ki awaz bantey hai
Regards:
Anil Naqvi

Tanha Reh Gaya......


Mein tu hajooom main tha yakayak kesey tanha reh gaya
abhi tu us k saath khuwab buna hi tha Bikhar k reh gaya

Ansoo0 they merey k sawan ki rutt thi rukti hi na thi anil
Ek woh tha num ankho ko meri khuwabdeedah nain keh gaya


Rahoo mein chahney waley kum na miley hamein anil
Yeh alag baat thi mein usey chahat mein apna aks keh gaya

Toota jab khuwab tu kirchiyoon sai saja tha ghar apna anil
ek woh tha merey tootey saiybaan ko taqdeer ka kia keh gaya

Regards:
Anil Naqvi

Ankhoo Mein Nami Kesi....


kati jo palkoo pai ratein tu ab ankho main nami kesi



jo guzar gayi sare rah zindagi tu ab tu kantoo ki chubhan kesi






jo gaya zamana usey bhoolna gar lagey mushkil tmhain anil



uthao bargah e khuda main hath us k darr pai hai kami kesi....

Geeli thi zameen.....


Geeli thi zameen k us ka likha naam mit gaya



woh haseen tha ek zamana jo us k sath kat gaya



Tha ek kamzor lamha jo meri ankhoo sai hua shuru



Larkharaye qadam aur ek khuwab tha jo tutt gaya



Ek ilteja thi jo main usey paney ki roz kia karta tha



aaj ek pal hai k dua sai bhi mera hath uth gaya



bara kamzarf tha k jo meri hasti hi na jaan paya woh anil



ek main tha jo usey khuda samjh k us k agey jhuk gaya.....

Geena Sikha Hi Diya



Guzartey paloo nai mujhe bhi geena sikha hi diya



behtey ashkoo ko pee k muskurana sikha hi diya



ek umer thi jab main usey paney ki baat kia karta tha



aaj merey khuda nai mujhe us sai mautbar bana hi dia



mein tu anjaan tha jo samjh na paya us ki ada ko anil



ek woh shakhs tha jo dil tor k mera muskura bhi diya